Wednesday, 23 July 2014

staked 'writing' But couldn't write about "Friendship".....!!! (DOSTI____cheez hi kuchh Aisi hai....!!!)

Pal bhar me dam todti ye Jindgi....
kabhi poori tarah jeeti kabhi hasti khelti bhi hai ye Jindagi....
Jee chahta h likhu kisi khas k liye;

achanak jab ye khayal aya ki kya ye Jo kuchh bhi likhne jaa rha padhaunga kya usko jiske liye vicharon ko sabdon aur fir likhavat ki juban de rha.....!!!

likhne Ja rha ya yun kahu ki sabd uker rha....dosti ke naam.....ek paigam un sabhi doston ko......mere hi nahi apitu duniya me kisi ke bhi dost ko....!!


Bhavnayen jab vicharon par bhavi hoti hai na to log kahte h ashru bahte hai.....!!!



halanki mere vichar es mat se koe virodhbhas nae rkhte par.......
par en avasaron me aksar dravit ankhen yun ho jati h ki mano ab jagah thasathas bhar gae hai..,..
dekhne me dikkat ho rae.....
agar halka sa bhi jhatka lage to namkeen boonden galon (cheeks) me galiyan banati hue thhuddi tak aajayengi;
kabhi kabhi honthon ko sparsh krengi.....!!!
us vyakti ki yaad k Kasheede padhengi 
ye boonden jinke liye niyat hai ye......
rachit h ye....boonden.....
jinhe log anshujal kaha karte hai....!!!



Achhhaaaa......


kuchh log pata h kya kahte hai.......!! 
Sangharshon ka naam hi jeevan hai ya jeevan hi sangharsh h.....
Mano us sangharsh me viram sa lag jata hai.....
yatra lagti hai jindgi....!!! Aisi yatra Jisme anekanek humrahi ho......



vo train wali yatra ki tarah parantu aisi yatra jisme aapne kis gantavya ki ticket li hai ye rahasya hota hai....!!!


par ek nishchit seat hoti hai.....
aap ek nishchit marg me jaate to hai aur apne lakshya banate hai.....!!!


musafiro se sampark bhi ho jata hai....
kuchh kuchh der ke sathi hote hai to kuchh k vicharo...manobhavo .....haavbhav.....kabhi roop saundarya.....aadi etyadi....se hum prabhavit hote hai.....
kuchh niyati hoti hai log kahte hai.....!!! 


Jindgi ki yatra me kae aise sakhsh hote hai Jo es yatra me kab se sath me hai ye to gyaat hota hai....par kab tak hai sath ye agyaat hai!!!

kuchh aisi bhi sakhsiyat hoti hai jisne pahli mulakat me vo rutba nae banaya.....
ya fir kuchh alag sa rashta akhtiyaar krti hai prakriti aur bache logon ke liye.......
ek pragadh rista banta hai aise waqt me.....sathi bante hai....es jamane k alfaaz me kahu to companion ya dost bante hai....!!! Friendship is better than love; 
relationship; brotherhood etc etc
Mai angreji k ye sabdon par keval vishwass nae krta ab!!! 
Varan anubhav Kar rha hun. 
Kuchh kuchh doston se har kuchh share Kr skta hu....jab chahe baat Kr skta hu..... 
Apni samasyayon ka raat ho ya din....hal janne k liye unse sujhaav leta hu.....!!!

(dosti ke ye alfazz aksar logon se hi sune gaye hai...
hon bhi kyu na.....dosti cheej hai aisi hai....)


Kabhi kabhi.....Har ek friend jaroori hota hai jaise slogans ne bhi charcha batori hai par
Krishna sudama ki jodi ka koe takkar na hi mila tha.....aur kab milega ye bhi bhavishya ki kokh me rahasya ki tarah chhupa hai....


Soch rha ki dosti k baare me aisa kya likhu jo aajtak nae likha gya......
par agale hi pal......hmm.....



par agle hi pal maano ye vichar krundhit ho uthate hai ki jio pal ko na ki sabdon me parinit krne me waqt jaya kro...!!! 

Vichar ka umad ghumad kar sangram,!!! 
Sakshi mai!!!!! 

Pal bhar me aate anekanek vicharon ko likhna usi tarah hota hai jaise patjhad me patte sametne ka prayas krna!!
Aap Jitne bhi patte samet lo....
har agale pal vriksha k neeche ka bhag patte dhak hi dete h....!!!

Par bhavnaaye vahi rahti hai...hamesha.....jaise jeete the....jee rhe.....har pal.....en doston ke sath.........jindadili ke sath.......dosti ke sath.....!!!


eshwar ko shat shat naman vandan abhinandan.....Jindagi ki har raah me hardam kuchh apanapan dene ke liye....achhe dost dene ke liye....!!!


Viram es kalam ko yun hi.....qki es patjhad me mushkil hai kuchh bhi likhna dosti ke baare me......jaise barish me ho mushkil akash koo takna.....!!!


Aapka Blogger-
Awanish Shukla
NICMAR-Pune






Tuesday, 15 July 2014

Kalam ki Takat.....!!! (Power of Pen.....a poem)

Kalam Kishmat,
Kalam Ashmat,
Kalam Shringaar likhti hai......!

Kalam Karuna,
Kalam Hashya,
Kalam majhdhar likhti hai....!!

Kalam ki maar se es baar koe bach nahi sakta,
Kalam kaavya,
kalam vivran,
kalam sanskaar likhti hai....!!!

Kavitaon ke es adhbhut sansaar me,
kalam 'KALAAM', KALIDASH, 'Karmodhdhar likhti hai,
kalam bhrashtachar jagran, Kavya malhar likhti hai....!!!


Bhavnaaon ko jhaankne,
Man ko taakne,
kalam khud ki jindagi jalakar,
jamane bhar ka udhdhar likhti hai.....!!!

Daud bhaag ki es duniya me Kalam ki upyogita samjhen,
Den esko samman,
auron ki kishmat kikhen,
Kalam bane aur ke jeevan ki,
Kalam se kalam ki baaten seekhen...!!!

Kaun Hai vo.......Mai samjhun na.....!!!

Chalta chalu mai akela;
ajnabi rahon me,
naye Shahar,
naye gaon me;
dhoondhun mai...
usko es kadar....
Sapno me...Bagaano me...!!!


Vo kaun hai ye bhi mai jaanu na,
Pehchanu na mai,
gunjit kartal ko,
jo chhu jati hai,
kampit karti hai,
humko harpal,
sitaar-rag-malhar ko,
vichar ko, sanskaar ko......!!!

Mai samjhun Kyu na.......Kaun hu mai;
Ya ki Kaun hai vo......kiski Talash hai....????
Kahi vo mai khud to nahi....jiski mujhe talash h

Oh Sweet God Agar.....!!!

Oh Sweet God Agar,

Oh Sweet God Agar.......Barish ki boondon me ho Sugar,
Trees jo Moon tak jayen,
Kadam badhe to yun ki Aasma fat jaaye,
Kalam likh de man ki baaten yun hi khud se,
Hum bhi Jaadu ki pari ko dekh paayen.....!!!


Oh Sweet God Agar,
Raat tab tak ho jab tak need aaye,
pariyan needon me aayen aur naani hardum kahaniyan sunayen,
Dost dena aise ki, Krishna-Sudama ki jodi ban jaayen....!!!


Oh Sweet God Agar,
Maano chont bhi dena agar,
Tab bhi hum feel karen Sugar.....!!!

Aur agar....sabse badi wish puchho tum hamari,
to na dena Love ki hume Lachaari.....
Flavour dena life me aur sabhi colors bhi,
Dena gar to dena books padhne ki beemari....!!!


Bane hum ardent book Lover yahi hai Wish humari,
chalo ab deta hun lekhni ko yahi viram...
ab ye yaad agya ki kabhi ata tha sabun Humam....!!!






Thursday, 3 July 2014

Hum nahi badle......; Es par Guroor.....???

Hum nahi badle......; es par Guroor.....???

Jamana badal gya hai aisa log kahte hai.....baat Karen rajneeti ki to har kisi ka alag hi najariya h...aur ho bhi q na....hum to vishva k sabse bade loktanta k nivasi hai. Vo jamana bhi lad gya jab log mohtaaz the do waqt ki roti k....kapda aur makan bhi sath hi sath gin liye jaate the moolbhoot avashyaktaon me. Kahte hai un Dino log beesiyon meel tak paidal aaya jaya karte the.....bhale hi ghar me kilo bhar sona aur saikdon beegha jameen ho...tab bhi khat jab daakiya lekar aata tha na; tab dhudhna padta tha us 8vi pass ladke ko Jo door kisi daftar me bade ohade par kaam krta tha. Radio par cricket ka prasaran sunne k liye poora gaanv sarpanch k ghar yun jata tha maano panchayat me aaj bheekhu chamar k liye sunvaae ka din hai. Sadak k gaddho ki log aaj baat karte hai; tab to pagdanddiyon me saaykal chala karti thi......maa chulhe me roti banati thi aur uppalo k jalne wala dhuaan maa ki aankho ko gila kar deta tha....!!! Ghar ka vo aangan jaha roj poora parivar shaam ko milta tha aur badon ki kam daant aur  bahot dulaar ka sakshi banta tha vo tulsi ka paudha jis par maa k sath hum sabhi milkar deep jalate the....!!!

Wivi se pahli mulakat aur baat seedhe suhagraat me hi hoti thi; saam hoti thi suhani, shadi ki baarat hafte bhar ruka karti thi....log mehmaan ko bhagwaan kaha krte the.....gaay mata k gobar se ghar ka vo leepna....barsaat me khhapdon se bani chhato ka sthan bhale hi pakki chhato ne le liya ho par vo ris ris kar tapakne wali boondo ka bhi alag maza tha jisko sametne k liye kahi balti to kahi tasla bartan rakha jata tha. Nani ki kahaniyan to log sadiyon tak sunenge par tab bade papa, Badi maa jaise riste bhi hua krte the. Nana k yaha se garmi me lene jab mama ji aate the....tab samjhta tha ki chhuttiya chalu ho gae hai....!! Aam k ped ko bhari dupahri me takna.....aur fir kaitha aur emli k ghatte swad Ko namak laga laga Kar kam Karna.......paseri ki vo dukan; dadaji ke swarg sidharne par lagne wala hazaron logon ka tanta.....vo bheed jisme sab gamgeen the; mano seekh de gae ki duniya me aate waqt tum bhale hi ro rahe the.....jab jaao to es kadar ki duniya ki aankhe nam ho...geeli ho....!!

Waqkt ne karwat badli; bade bade irade panapne lage the karobariyon ke hausalon me; kahte hai Bharat me kuchh badlaav sa aya tha.....aarthik aajadi aur Vikash ka Rath Mano an Bharat aya tha....!!! Telephone fir mobile, television fir led, 3d TV, maruti 800 se lekar mercedese Benz tak......khadaun se puma/adidash tak, litti chokha se lekar pizza burger tak, sarangi se guitar tak aur bhi na jaane kya kuchh aur kya kuchh nahi.....daur badalte Gaye hai aur sach kahu to yun hi badalte rahenge....!!! Par hum insaan kyu nahi.....!!!

Han han.....sae padha aapne.....!!! Hum insaan kyu nahi.......???? Kyu nahi....!!!

Humari  pahle bhi padoshi se anban thi aur aaj bhi hai; padoshi mulk ka ho ya apne ghar k bagal ka waqt k sath sambandh pragadh nahi varan bekar hi huye h. Insaan ne missiles bana li hai, paryavaran ki pahle bhi hani pahuchate the aah ki tarah, asatya ko badhava Dena, sach ki chhupan pahle bhi ata tha aur aaj bhi.....!!! Ye mere scope k bahar hai jaise excuses.....bla bla bla....!!!

Hum nahi sudhrenge agar yun hi attitude raha to sach maano humne jise apni virasat k roop me bachaana chaha h uska Bach pana mushqkil me ho jayega......hamari sankiti - hamari virashat.....hamari Riyasat.....!!!

Es par bhi agar guroor hai na badalne ka..,...to hum kya kahe babu.....!!! Aap khud hi samajhdaar hai.....!!!

कार एक्सीडेंट….

 पीछे से आती मारुती बलेनो कार ने जोर की टक्कर मारी। #RealLifeStories शहरों में सिग्नल पर इंतज़ार करती गाड़ियां बंपर से बंपर के बीच कोई फांसल...