Sunday 21 December 2014

Botlen....aur vo

Kusoor-e-mohabbat hum kyu nikalen;
Hosh me hum Ab bhi hai Parth;
do char botlen Ab asar nahi krti!!

Dard ko mitane ki dawa agar enhi botlon me hi hai,

bol lo unse zahar hume vahi akar pila den to achha h!!

-----------------------------xxxxxx--------------------------

Teri un adaon se tha pyaar mujhe par ab nahi,

Vo awaz aur kuchh ahsas bhi....

par ab nahi aitbaar un par bhi...!!!

Tajjub be kohram to es bat Ka h ki;

Zinda hu par Zindagi se Aitbaar nahi.!!

--------------------------xxxxxxx-------------------------

Maukaye parasti ab unki jagah unki yaaden Kr leti hai aye Galib,

Mehfil me sabd nahi milte par....

sannaton me vo shayrion me utar leti hai...!!

-------------------------xxxxxx--------------------------

2 pal ki maut ko kosne walo,

Asali aafat to ye zindagi hai..

Na to gujarti hai;
aur na hi savarti hai!

Saturday 20 December 2014

Kaisa nasha hai tu meri HUN....

Kehne ko door to hai vo,
Par yaadon me ab bhi hai!

Milte nahi hum ab,
Par sapne me sath sote hai!

Share Karna kuchh bhi ab kaise ho,
Par ek extra coffee tere Nam ki pi lete hai!

Akelepan me bhi yaad nae ati thi kabhi tu,
Par ab bheed me bhi tanha mahsoos karte hai!

Kabhi baten khat se karte they,
Ab khud ko bhi khat likhte hai!

Kabhi tere Jane Ka gum hoga ye sochkar dar Gaye they,
Ab tu nahi hai ye har pal jeete hai hum!

Tujhe betak dekhne par tu mana karti thi,
Ab Teri pics ko ghanto niharte hai.!

Kaisa nasha hai tu meri HUN,
Botlon me bhi nahi utare par nashe me khud ko pate hai !!!

Monday 8 December 2014

Ishq ka hashra?

Etni siddat se ki thi mohabbat to ye hashra hua aye Galib,

Jinda-maut se bhi Badi koe saja hoti hai kya??

--+--------++----------+++-----------++++------------+

Duaayen magne gya tha uske dar par ki meri bhi Umar tujhe lag jaaye;

Qki jeete jee marne chhod gae vo humko,
Kamskam vo to thoda aur jee jaay...!!!

Sunday 30 November 2014

Waade Yaad Aaj bhi hai....."Love "


Gir gaye hum Etna Teri bevfaae ke maare;
Teri yaad halanki salamat aaj bhi hai;

Tanhaeyon me kuchh botlon k sahare;
Sath piyenge vo wade yaad aaj bhi hai....!!

-------------------------------------------------
--------------xxxxxxxx---------------------

Pyaar kya h? saval puchha tha usne;

Pyaar k mohtaaj hokar hum javab dhudh paye h sathiyon!!

Aur javab bhi yehi ki-

"Pyaar lajavab hai"

Saturday 29 November 2014

Fir Mohabbat na ho Jaye.....!!!

Do lavz unke sun lu wapas intekam ye intzar keval esi k khatir,
Do lavz sun lu unke;

Libaz unki pasand k pehen Lu aaj; unki muskan k khatir;

Libaz unki pasand k;

Etni barkat krna ki ye libaz unhe mohabbat na kra de humse;

aur unke do lavz hume unka na bana de ye barkat krna aye maula.
😐😐😐😐😐😐😐

Monday 24 November 2014

Maashuka meri.....

Talluk uske tod lene pe hum apna kasoor dhudhne me pade they,
Vo bereham jab doli me thi; hum janaje ki sair me they!!!

Gili lakdi se kiya tha ishq Humne aye Galib,
Gili lakdi se kiya tha ishq Humne aye Galib,
Na pura jala paye they aur na ab bujha paa rhe.
😐😐😐😐😐😐😐😐

Padh kar agar Waaah waah nikli ho Dil se--

Waah sune sadiyan ho gae lagta hai mujhe

.

Qki..

Waah to hum unke hushn par hi suna krte they.
Hanji sae suna-

Waah waah to unke hushna par hi suna karte they...

Tumne halanki puchha nahi ki-
"Suna karte they ya khud waah waah kaha krte they?"

Hanjii....

Suna krte they....!!!

Suna krte they fir bolne walo ko bhi chup kra diya...

Us noorpari ko apni masuka bna kar...!!

Friday 14 November 2014

Uska naam....!!

Uski yaadon k bhi nakhre uthata hu mai aye Galib,

Sauk me 2 ghoont jaam pita tha tab mai,

Botalen ludhkata hu mai ab aye Galib....!!

Kah gae thi yaad na aaungi tumhe nae masuka Milne par,

Par aaj bhi aksar nae ko uske naam se hi bula leta hu aye Galib...!!!

Monday 27 October 2014

Badlaav

Kuchh sehri elake...Jo abhi bhi Chhote hai.....na keval vikas k muddon me...apitu mansikta bhi kahi na kahi utna khulapan nae ya swakchhandta nae rakhti hai jitna aajkal Ka naya Bharat thoda jyada bade audyogik mahanagar rakhte hai. Aaj bhi ghar se jab mahilayen bazar ko jati hai to 5 saal Ka hi sahi par ek chhota baccha le jati hain....karan chahe bhale hi es samaj me ho rae ghatnaaye ho ya hamari vahi purani mansikta....par bhale hi sunita Williams antariksha me akele chali gae...samaj Ka ek bada tabka abhi bhi yun hi sehma sa rhta hai....mahilaon Ka tabka.!!

Nirash Kyu....???

Samandar se gahra hai Vishwash,
Aasmaan se unchi hai Ummeeden,
Dishaon se bhi vistrit hai Aashayen,

Fir bhi aye man tu NIRASH kyu...???

Kyu tu yaadon ke bojh dhhota hai, unki yaadon me sota bhi par par aksar tu rota hai...!!

Ujaala kshitiz se foot pada hai ab,
Fir bhi tu nirash kyu.....gala tript hai tera fir bhi vahi pyaas kyu....???

---------------xxxxxx-----------xxxxxx-------------

Meri kabhi koe fikar bhi Kar lo aye mere dost,
Hum befikar bina care ke bikhar gaye hai.!


Sunday 12 October 2014

Beraham Vo.....!!

hum kyu yaad kar paate hai beeti baaten,
baaten jo beraham hai....
hasati bhi hai par aansuon ke sath...??

hum kyu nahi paate jise sabse jyaada chahte hai...
chahte to hai unhe par kyu nahi hum unhe paa pate hai....??

Bachpan me to kal shaam ki baten bhul jate the,
Jawani me kyu pichhali baton se man behlate hai...??

Har ek chehra yaha hai bedard aur Badnaseeb,
Jeete hai jisko yaad kar kar ke....
Usko kyu hum Bereham bulate hai...???

------------------XXX---------------------

Monday 29 September 2014

Chirag.....

Rehne do en andhero me aye Galib,
vo bhul chuki hai khud ke jalaye chirag me tel dalna...!!!

Ab Tang krta h hawaon Ka jhonka aye mere Galib,
Vo ati kyu nahi es chirag ko hatheliyon se bachane...!!!

sanghrsh me hawaon ke thapedon ne chirag ko bujha diya aye Galib...

Par vahi hawa jab chirag se mili Mayyat me....to
chirag ki kahani ne hawa ko bhi rula diya Galib....!!

Saturday 27 September 2014

Pehli Date.....Pehle Crush.....Infatuation...!!!

Kabhi kisi se ki hai mohabbat,
ya koe aya hai pasand....kisi pe crush aya hai ya
kisi ki adaon ne aapka pura dhyaan kheench rakha hai....

log kehte hai infatuation hai...kuchh Crush kehte hai...
Koe to direct PYAAR hi bol deta hai na en sab ko...
mano unka pyaar mandir k bahar bat rha prasad hai...!!!

alag alag najarion ke beech.....school ke din yaad aa gaye...
Mishra uncle ka vo restaurant jo radha chauk ke side me hi hai...
hamare kasbe ki sabse badi mithae ki dukaan...
vaha ka Samosa Jalebi kehte hai TOD hai yaar....lajawab...!!!

jalebi ki khushbu aur kabhi kabhi vo kachaudion ki mahak,
jab bhi school ke liye Cycle se jata tha na,
bhale hi late ho rha hun,
aur padal cycle ke tej tej marne ki bahot sakht jarurat aan padi ho,
us khushbu ke aage pair bhi maano haar maan jate the....gati dheemi ho jati thi...
pairon ka naak se ya jeebh se bhi koe na koe connection hai....ye bhi kae baar socha...
Par uttar na mila kabhi....kuchh smiles aur thahakon ke alava en vicharon me....!!!


class me Jis ladki se copy maagne me pure 9 months lag gaye;
halanki jaisa pehle hi keh diya vo infatuation tha ya crush ya ki liking....mujhe nae pata...
par usko julfen savarte jab bhi dekha....
class 10th ka baccha karan joher ki movies se kuchh to prerit hota,
mano aisi bollywood ki pictures bahot help karti hai na....pyaar jagane karne aur nibhane me,
par yaha to bahot saari dikkaten thi....chhota sa kasba,,,
Jaha bhale hi log Sunday shaam ko aane wali picture me Salmaan khaan ko uska pyaar mil jaaye ki duaayen dete hai, badh chadh kar samarthan krte hai raveena ki adaon ka..Govinda ke ijhare ishq ka...
Par jab asali jindagi ki baate hoti hai to,
maano saap sunh jata hai....
pyaar Paap ka paryaaywachi hai...
bade rahees logo ke liye bana hai...aisa bhi to unhi mahanubhavo ne bataya tha mujhe bhi...

par ye dil jo karan joher ki movies se aur Shahrukh ki adakari se jyada prabhavit tha,
halanki sabhi maryadaon ko rakhkar samajik prachlano ko bhi dekha samjh tha...
par vahi dil thaam nahi paya khud ko...kisi ke baare me sochne se...harpal....sayad han...!!!

to jab 9 months baad science ki copy mili to,
uspar koe love letter chhupa kar bhejne ki jurrat to hue nahi,
par baat karne aur agali baar hindi ki copy magne me koe jhijhak na hue,
un copies ko seene se lagakar soya mai aisi bhi koe harkat nae hue thi yaar,
sach kahu to kholkar dekha bhi nahi vo copies......bas silsila chalu hua tha.....baaton ka...!!

kehte hai convent school ki ladkiyan skirt pehen kar ati hai school,
halanki sarkari vidyalay me aisa kuchh na tha....par jo tha...vo thi adayen...muskan...lehzaa...
jo aakarshit karta gya....unki or.....mahine dar mahne...thoda aur....ufaan ki tarah....
par ye ufaan dono taraf ki sirf muskaan tak hi seemit tha.....
aur kabhi kabhi cycle stand me ki jaane wali dher saari baaton tak bhi...sach kahu to...!!!



**Rest will be written in next sitting.

P.S.> Above writing is solely fiction. Kindly don't think that its writers story.


Regards,
AWANISH 

Sunday 21 September 2014

Teri Yaaden....

Waqt bewaqt Teri yaad jeene nahi deti...
Chehre par ho bhale hi mere muskan....
Par vo sukun se sone kyu nahi deti...
Jate waqt keha tha yaad na aungi tumko,
Par uski yahi baat usko bhulne nahi deti...!
Kuchh swakshand panktiyan:-
Tum to chhod gae thi mujhko,
Un yaadon k sahare,
Jo hasati hai jam Kar...

par utna hi rulati bhi to hai....hardum ek kone se...
Pukarti hai humko.....ek aahat jab ati hai...
Band aankho me hu jab bhi mai...
Ab ye hava bhi gale sa lagati hai....

Par nahi meri Jaan.....
ab bhi tu gum..gayab.....barson se...
Baras huye hi kitne....?
Par lagta hai mile nahi hum barson se....!!!

tum to chhod gae thi humko.....
duniya k khatir;
us gum k khatir Jo bada nasheela hai.....
jeene me jee pane Ka ek ajab mera an kabila hai....
khud me hi rehna. ....aane laga hai.....tu aur dur ab nae ja sakti ye samajh aane laga hai...!!

Saturday 20 September 2014

Ujaale uski yaadon ke....chandani raat par bhi bhaari hai.....

Crush bhi ajeeb cheej hai,
Naye mere Arman jagte hai....
mana bhulna pyaar ko hai bahot muskil,
Par Chandani raat mile to;
Hum Andhere me kaise reh skte h ....!!!


Par ujale unki yaadon ke....
kuchh es kadar kahar dhate hai
reh reh kar bijali si girti hai jivan me...
Chandani raat me gum se hum ho jate h...!!!


Matlab baat kuchh yun hai ki....
Halanki Meri najron me ab mera bas nahi aye meri crush.....

par unhone yaaden hi aisi chhodi hai
ki pariyon ko bhi dekhne Ka man nae karta.
Ya yun kahen ki-
Ujaale uski yaadon ke....chandani raat par bhi bhaari hai....!!!

Wednesday 10 September 2014

Door Le Jaa Ab Tu Apni Yadon Ko Aiye Meri Pyaari Jaan.........(a Poem of Broken Love)

Bhulana chahta hun tujhe
Rona nahi chahta aur mai ab,
Door le jaa ab tu apni yadon ko aiye meri pyaari jaan,
Pareshan krti hai mujhe vo….jeene me jee pane me mushqil karti hai,
Door jaa paa na aa tu ab…..ab aur na sata mujhe.!!!

Vo baaten raaten adhhori aur kabhi kabhi ki poori baaten,
Tera muskurana, ikraar, ijahaar aur inkaar shararton ka,
Bhulna mushqkil ho rha b mujhe vo sab, jaa tu ab door chali ja na,
Kashmon ko tu bhool gae….rashmon ko tu bhool gae….bhula diya tune mujhe hi jab,
Kya kahun mai ab…..jab tumne wade hi hai bhulaye…..!!!

Har manjar ab yahi….tere bina har ghadi….mushqkil….
Rahon me chalna…..couples ko dekhkar jalna…soch me rhna…
Mat aa fir bhi tu…..door chali jaa yadon se…baton se ….
Baton se aadaton se door chali jaa na ab tu……jeene de na mujhe ab tanha….!!!

Tanha jeena chahta hu mai ab…..
khud me kho jana chahta hu ab mai…
Nahi chahye teri yaaden jo chubhti hai….
khushiyo k vo beete pal  vartmaan se compare krti hai….!!!

Bhulana chahta hun tujhe……Rona nahi chahta aur mai ab,
Dooor chale jaane bol de apnni yaado ko….!!!

Door le jaa ab tu apni yadon ko aiye meri pyaari jaan,

Pareshan krti hai mujhe vo….jeene me jee pane me mushqil karti hai...!!

-----------------------------------------------------


hey people,

All the content & thinking behind this poem is fiction; no personal touch. I told such coz ppl started asking me after reading my last poems that whether these are related to my personal life etc. I want to make it very clear that these all poems are true creations of mine & do not have any replica of my own life. Thanks a ton for your loads of love.


Cheers & Best Wishes,
Regards-
Yours' Blogger- 
AWANISH SHUKLA

Monday 18 August 2014

New Cycle.....Khushi Pal bhar ki.....Second thought. :p :p :p Childhood Memories.....!!!

Kitna Saral aur Sugamya tha vo bachpan,
Jab paidal milo door school chalkar jana aasan sa lagta tha...

Aur bhi aasan to tab lagne laga...
jab vo kuchh meel ki duri tay karane ke liye Bicycle paae...

Laae gae aur Paae me antar hota hai...
hanjee sae padha aapne...
vo jamana tha jab achhe number se pass hone par...
Ya aathavi pass karne par cycle milti thi....inaam me...papaji se!!!

Cycle jab mili; kuchh hafton laga pairo me pankh se lag gaye ho,
udata tha mai, khud ko bhi aur cycle ke pahiyon se khud ke armaan ko bhi....
aas pass ke gaanv ke khet khalihaal.....mandir masjid....sab ke chakkar kat daale...

din raat keval ek dhun.....cycle cycle....aur sirf cycle....!!!


Halanki Ranger Cycle...vo bhi Avon Brannd ki....
rutba bhi badhaya hi tha esne doston ki un mehfilon me....
jo kabhi aamchur ki ya to kabhi kulfi ya fir fulki ke thelon par lagte the....!!!

Hamesha chamchamane wali cycle...
suruaat ke dino me to bechari ko mujhse jyada nahana pada...
mai nahaun ya nahi......usko surf ya for Shampoo se nahalata tha...
qki vo bhi to jati thi door kis balcony k samne se gujarne....
jaha ek ladki aksar apne baal sukhane ati thi subah school jane se pehle.....!!!


logon ka aakarshan thi....gears jo the meri cycle me..
aur vo trin trin ki awaz wali ghanti....jo anya sabhi cycle se puri tarah alag......Pyaari.....!!!

----------

Par......kuchh tha jo bahot hi anokha sa tha.....par achanak chhut gya tha.....
jiska ahsaas hua aaj; aaj jab kuchh nanhe bachho ko vahi krte dekha jo bachpan me hum kiya krte the....


cycle ne kuchh chheen liya tha na mujhse......bahot hi pyaari ek aadat.....
cycle aa jana aur us aadat ka chhut jana mano ek peeda ho gae....vo aadat thi hi kuchh anokhi si....!!!
jab tak cycle nae aae thi,
aur paidal paidal hum school jaya krte the.....


paidal chalte waqt.....Pattharon ko pairon se marna...
aur marte huye hi chalna....!!!
aur kabhi kabhi to ye than lena ki;
ye chikna wala....nahi nahi vo gol gol wala ya to kabhi achha vo laal wala patthar....
ye to ghar tak jayega....!!!

Ye sab kaphi anokha tab nahi tha...
Shoes par kharonch dekhkar maa thoda chillati jaroor thi.....
par agale hi pal....
jab peechhe se jakar.....maa ko gale laga lo to Dulaar bhi to milta tha na....!!!

Vo dulaar un sab khushiyon se badhkar tha jo cycle chalakar mili....!!!


------

Par kuchh aur baate bhi hai jo Cycle chalane ki yaaden kabhi nahi bhulane dengi,
samhaal kar....dheere dheere chalana.....!!!
Big vehicles jab aaspas rahen to samhaal kar road se neeche utaar lena....
Jab bhi road cross krna to...dono tarah dekhna...
aur sab se favourite wala dialogue-
 speed ke chakkar me hath pair mat tudva ke baith jana.....exams pass me hai na....!!!

mano ye gyaan ke sabd to Roj hi maa sunati thi....
tab ye daant lagti thi...par aaj unhi seekh ke balboote hum bahot kuchh seekhe hai....

han to un daaton ke beech.....
papa ya ghar ka koe bujurg bolta jaroor tha...ki,
karne do ladakpan me....yahi to seekhne ki umar hai,...!!



Aaj yaad aa jate hai vo din.....vo lamhe....
kuchh ankahi baaten jo muskaan me badal jaati hai...
ya to geela kar jaati hai ankhon ko....
ya kuchh pal hame hasati hai....!!!


CYCLE ke vo tej tej paidal......Aur mera Pyaar.....Kabhi cycle ke liye to kabhi Paidal chalne ke liye......!!!



Regards-
Awanish Shukla
Student, PGP-ACM,
NICMAR-Pune.

Wednesday 23 July 2014

staked 'writing' But couldn't write about "Friendship".....!!! (DOSTI____cheez hi kuchh Aisi hai....!!!)

Pal bhar me dam todti ye Jindgi....
kabhi poori tarah jeeti kabhi hasti khelti bhi hai ye Jindagi....
Jee chahta h likhu kisi khas k liye;

achanak jab ye khayal aya ki kya ye Jo kuchh bhi likhne jaa rha padhaunga kya usko jiske liye vicharon ko sabdon aur fir likhavat ki juban de rha.....!!!

likhne Ja rha ya yun kahu ki sabd uker rha....dosti ke naam.....ek paigam un sabhi doston ko......mere hi nahi apitu duniya me kisi ke bhi dost ko....!!


Bhavnayen jab vicharon par bhavi hoti hai na to log kahte h ashru bahte hai.....!!!



halanki mere vichar es mat se koe virodhbhas nae rkhte par.......
par en avasaron me aksar dravit ankhen yun ho jati h ki mano ab jagah thasathas bhar gae hai..,..
dekhne me dikkat ho rae.....
agar halka sa bhi jhatka lage to namkeen boonden galon (cheeks) me galiyan banati hue thhuddi tak aajayengi;
kabhi kabhi honthon ko sparsh krengi.....!!!
us vyakti ki yaad k Kasheede padhengi 
ye boonden jinke liye niyat hai ye......
rachit h ye....boonden.....
jinhe log anshujal kaha karte hai....!!!



Achhhaaaa......


kuchh log pata h kya kahte hai.......!! 
Sangharshon ka naam hi jeevan hai ya jeevan hi sangharsh h.....
Mano us sangharsh me viram sa lag jata hai.....
yatra lagti hai jindgi....!!! Aisi yatra Jisme anekanek humrahi ho......



vo train wali yatra ki tarah parantu aisi yatra jisme aapne kis gantavya ki ticket li hai ye rahasya hota hai....!!!


par ek nishchit seat hoti hai.....
aap ek nishchit marg me jaate to hai aur apne lakshya banate hai.....!!!


musafiro se sampark bhi ho jata hai....
kuchh kuchh der ke sathi hote hai to kuchh k vicharo...manobhavo .....haavbhav.....kabhi roop saundarya.....aadi etyadi....se hum prabhavit hote hai.....
kuchh niyati hoti hai log kahte hai.....!!! 


Jindgi ki yatra me kae aise sakhsh hote hai Jo es yatra me kab se sath me hai ye to gyaat hota hai....par kab tak hai sath ye agyaat hai!!!

kuchh aisi bhi sakhsiyat hoti hai jisne pahli mulakat me vo rutba nae banaya.....
ya fir kuchh alag sa rashta akhtiyaar krti hai prakriti aur bache logon ke liye.......
ek pragadh rista banta hai aise waqt me.....sathi bante hai....es jamane k alfaaz me kahu to companion ya dost bante hai....!!! Friendship is better than love; 
relationship; brotherhood etc etc
Mai angreji k ye sabdon par keval vishwass nae krta ab!!! 
Varan anubhav Kar rha hun. 
Kuchh kuchh doston se har kuchh share Kr skta hu....jab chahe baat Kr skta hu..... 
Apni samasyayon ka raat ho ya din....hal janne k liye unse sujhaav leta hu.....!!!

(dosti ke ye alfazz aksar logon se hi sune gaye hai...
hon bhi kyu na.....dosti cheej hai aisi hai....)


Kabhi kabhi.....Har ek friend jaroori hota hai jaise slogans ne bhi charcha batori hai par
Krishna sudama ki jodi ka koe takkar na hi mila tha.....aur kab milega ye bhi bhavishya ki kokh me rahasya ki tarah chhupa hai....


Soch rha ki dosti k baare me aisa kya likhu jo aajtak nae likha gya......
par agale hi pal......hmm.....



par agle hi pal maano ye vichar krundhit ho uthate hai ki jio pal ko na ki sabdon me parinit krne me waqt jaya kro...!!! 

Vichar ka umad ghumad kar sangram,!!! 
Sakshi mai!!!!! 

Pal bhar me aate anekanek vicharon ko likhna usi tarah hota hai jaise patjhad me patte sametne ka prayas krna!!
Aap Jitne bhi patte samet lo....
har agale pal vriksha k neeche ka bhag patte dhak hi dete h....!!!

Par bhavnaaye vahi rahti hai...hamesha.....jaise jeete the....jee rhe.....har pal.....en doston ke sath.........jindadili ke sath.......dosti ke sath.....!!!


eshwar ko shat shat naman vandan abhinandan.....Jindagi ki har raah me hardam kuchh apanapan dene ke liye....achhe dost dene ke liye....!!!


Viram es kalam ko yun hi.....qki es patjhad me mushkil hai kuchh bhi likhna dosti ke baare me......jaise barish me ho mushkil akash koo takna.....!!!


Aapka Blogger-
Awanish Shukla
NICMAR-Pune






Tuesday 15 July 2014

Kalam ki Takat.....!!! (Power of Pen.....a poem)

Kalam Kishmat,
Kalam Ashmat,
Kalam Shringaar likhti hai......!

Kalam Karuna,
Kalam Hashya,
Kalam majhdhar likhti hai....!!

Kalam ki maar se es baar koe bach nahi sakta,
Kalam kaavya,
kalam vivran,
kalam sanskaar likhti hai....!!!

Kavitaon ke es adhbhut sansaar me,
kalam 'KALAAM', KALIDASH, 'Karmodhdhar likhti hai,
kalam bhrashtachar jagran, Kavya malhar likhti hai....!!!


Bhavnaaon ko jhaankne,
Man ko taakne,
kalam khud ki jindagi jalakar,
jamane bhar ka udhdhar likhti hai.....!!!

Daud bhaag ki es duniya me Kalam ki upyogita samjhen,
Den esko samman,
auron ki kishmat kikhen,
Kalam bane aur ke jeevan ki,
Kalam se kalam ki baaten seekhen...!!!

Kaun Hai vo.......Mai samjhun na.....!!!

Chalta chalu mai akela;
ajnabi rahon me,
naye Shahar,
naye gaon me;
dhoondhun mai...
usko es kadar....
Sapno me...Bagaano me...!!!


Vo kaun hai ye bhi mai jaanu na,
Pehchanu na mai,
gunjit kartal ko,
jo chhu jati hai,
kampit karti hai,
humko harpal,
sitaar-rag-malhar ko,
vichar ko, sanskaar ko......!!!

Mai samjhun Kyu na.......Kaun hu mai;
Ya ki Kaun hai vo......kiski Talash hai....????
Kahi vo mai khud to nahi....jiski mujhe talash h

Oh Sweet God Agar.....!!!

Oh Sweet God Agar,

Oh Sweet God Agar.......Barish ki boondon me ho Sugar,
Trees jo Moon tak jayen,
Kadam badhe to yun ki Aasma fat jaaye,
Kalam likh de man ki baaten yun hi khud se,
Hum bhi Jaadu ki pari ko dekh paayen.....!!!


Oh Sweet God Agar,
Raat tab tak ho jab tak need aaye,
pariyan needon me aayen aur naani hardum kahaniyan sunayen,
Dost dena aise ki, Krishna-Sudama ki jodi ban jaayen....!!!


Oh Sweet God Agar,
Maano chont bhi dena agar,
Tab bhi hum feel karen Sugar.....!!!

Aur agar....sabse badi wish puchho tum hamari,
to na dena Love ki hume Lachaari.....
Flavour dena life me aur sabhi colors bhi,
Dena gar to dena books padhne ki beemari....!!!


Bane hum ardent book Lover yahi hai Wish humari,
chalo ab deta hun lekhni ko yahi viram...
ab ye yaad agya ki kabhi ata tha sabun Humam....!!!






Thursday 3 July 2014

Hum nahi badle......; Es par Guroor.....???

Hum nahi badle......; es par Guroor.....???

Jamana badal gya hai aisa log kahte hai.....baat Karen rajneeti ki to har kisi ka alag hi najariya h...aur ho bhi q na....hum to vishva k sabse bade loktanta k nivasi hai. Vo jamana bhi lad gya jab log mohtaaz the do waqt ki roti k....kapda aur makan bhi sath hi sath gin liye jaate the moolbhoot avashyaktaon me. Kahte hai un Dino log beesiyon meel tak paidal aaya jaya karte the.....bhale hi ghar me kilo bhar sona aur saikdon beegha jameen ho...tab bhi khat jab daakiya lekar aata tha na; tab dhudhna padta tha us 8vi pass ladke ko Jo door kisi daftar me bade ohade par kaam krta tha. Radio par cricket ka prasaran sunne k liye poora gaanv sarpanch k ghar yun jata tha maano panchayat me aaj bheekhu chamar k liye sunvaae ka din hai. Sadak k gaddho ki log aaj baat karte hai; tab to pagdanddiyon me saaykal chala karti thi......maa chulhe me roti banati thi aur uppalo k jalne wala dhuaan maa ki aankho ko gila kar deta tha....!!! Ghar ka vo aangan jaha roj poora parivar shaam ko milta tha aur badon ki kam daant aur  bahot dulaar ka sakshi banta tha vo tulsi ka paudha jis par maa k sath hum sabhi milkar deep jalate the....!!!

Wivi se pahli mulakat aur baat seedhe suhagraat me hi hoti thi; saam hoti thi suhani, shadi ki baarat hafte bhar ruka karti thi....log mehmaan ko bhagwaan kaha krte the.....gaay mata k gobar se ghar ka vo leepna....barsaat me khhapdon se bani chhato ka sthan bhale hi pakki chhato ne le liya ho par vo ris ris kar tapakne wali boondo ka bhi alag maza tha jisko sametne k liye kahi balti to kahi tasla bartan rakha jata tha. Nani ki kahaniyan to log sadiyon tak sunenge par tab bade papa, Badi maa jaise riste bhi hua krte the. Nana k yaha se garmi me lene jab mama ji aate the....tab samjhta tha ki chhuttiya chalu ho gae hai....!! Aam k ped ko bhari dupahri me takna.....aur fir kaitha aur emli k ghatte swad Ko namak laga laga Kar kam Karna.......paseri ki vo dukan; dadaji ke swarg sidharne par lagne wala hazaron logon ka tanta.....vo bheed jisme sab gamgeen the; mano seekh de gae ki duniya me aate waqt tum bhale hi ro rahe the.....jab jaao to es kadar ki duniya ki aankhe nam ho...geeli ho....!!

Waqkt ne karwat badli; bade bade irade panapne lage the karobariyon ke hausalon me; kahte hai Bharat me kuchh badlaav sa aya tha.....aarthik aajadi aur Vikash ka Rath Mano an Bharat aya tha....!!! Telephone fir mobile, television fir led, 3d TV, maruti 800 se lekar mercedese Benz tak......khadaun se puma/adidash tak, litti chokha se lekar pizza burger tak, sarangi se guitar tak aur bhi na jaane kya kuchh aur kya kuchh nahi.....daur badalte Gaye hai aur sach kahu to yun hi badalte rahenge....!!! Par hum insaan kyu nahi.....!!!

Han han.....sae padha aapne.....!!! Hum insaan kyu nahi.......???? Kyu nahi....!!!

Humari  pahle bhi padoshi se anban thi aur aaj bhi hai; padoshi mulk ka ho ya apne ghar k bagal ka waqt k sath sambandh pragadh nahi varan bekar hi huye h. Insaan ne missiles bana li hai, paryavaran ki pahle bhi hani pahuchate the aah ki tarah, asatya ko badhava Dena, sach ki chhupan pahle bhi ata tha aur aaj bhi.....!!! Ye mere scope k bahar hai jaise excuses.....bla bla bla....!!!

Hum nahi sudhrenge agar yun hi attitude raha to sach maano humne jise apni virasat k roop me bachaana chaha h uska Bach pana mushqkil me ho jayega......hamari sankiti - hamari virashat.....hamari Riyasat.....!!!

Es par bhi agar guroor hai na badalne ka..,...to hum kya kahe babu.....!!! Aap khud hi samajhdaar hai.....!!!

Friday 13 June 2014

Koe Bhi Ekta Nahi.....!!! (A rpl to unity)

Koe bhi ekta nae dikhi jamane me.....
na janaje uthane ne ....
na murda dafnane me.....
mandiro me ya shyamsano me......
maa bahan tak ki ijjat bachane me.....
koe bhi ekta nae dikhi jamane me.....!!!

Sab hai matlabi....
jinda lashon ke dher
lage rhte swaarth aajmane me.....
jeene me ya mar janr me....
har waqt swapno me
ya maikhano me.....!!!

Swarthi vo kandho ka Dena.....
ya lashon ka dher lagana.....
apno k liye ban jana begana.....
maiyyat tak me jaate log kuchh paane k khatir.....
begano ke hi nahi apno k khatir..
koe ekta nae na to niptane ya nipataane me...!!!

Tuesday 10 June 2014

Yaaden.....!!! Love turned up Breakup...!!!

Najare
Chehre
Waade
Pyaar
Spent moments
Talks
Long hours chat
Night pack talks
Thode jhagde
Jyada pyar
Sujhaav
But no samjhaute
Her sacrifices
Kisses
Long walks
Hugs
Pyari but Gandi baaten
Mails
WhatsApp
Messages
Gifts
Meetings
Facebook online video chats
Cute smiles
Care
Packing for long/short trips
Dedicating songs
Calling from home landline
Calling while being at home midnight
Suggestions on studies
Flying kisses
Wishes
Plannings
Names of child's which are not existing
Plan of tours
Calling while parents went for ev walk
Gossip about friends
Gifts... Momos
B'day songs
Sweet only for you ki baaten
Naseebon ki baat
Thandi hava ka jhoka
Khud me hi bolna
Ek Dusre ki nakal Karna
Bestum best wale friends
Sharing all things/views
Late night mobile balance end
msgs ko last paise tk use krna
Sharing good things with friends

And many more...... Non ended list.

What are these.....???

Is it love.....???

Its the thing..... Which works as a break when you break up these above. Life stops.....!!! Life gets spoiled.... Even when you put all efforts still you find unable to stop yourself thinking such.

Jinda usse kahu ya jinda hume kahun....!!
Mar gya mai uske liye par sochta hu murda usse kahun....!!!!

Saturday 24 May 2014

Door jaa paas na aa tu ab…..ab aur na sata mujhe.!!! (atukant kavita ka prayas...)

Bhulana chahta hun tujhe
Rona nahi chahta aur mai ab,
Door le jaa ab tu apni yadon ko aiye meri pyaari jaan,
Pareshan krti hai mujhe vo….jeene me jee pane me mushqil karti hai,
Door jaa paas na aa tu ab…..ab aur na sata mujhe.!!!


Vo baaten raaten adhhori aur kabhi kabhi ki poori baaten,
Tera muskurana, ikraar, ijahaar aur inkaar shararton ka,
Bhulna mushqkil ho rha b mujhe vo sab, jaa tu ab door chali ja na,
Kashmon ko tu bhool gae….rashmon ko tu bhool gae….bhula diya tune mujhe hi jab,
Kya kahun mai ab…..jab tumne wade hi hai bhulaye…..!!!


Har manjar ab yahi….tere bina har ghadi….mushqkil….
Rahon me chalna…..couples ko dekhkar jalna…soch me rhna…
Mat aa fir bhi tu…..door chali jaa yadon se…baton se ….
Baton se aadaton se door chali jaa na ab tu……jeene de na mujhe ab tanha….!!!


Tanha jeena chahta hu mai ab…..
khud me kho jana chahta hu ab mai…
Nahi chahye teri yaaden jo chubhti hai….
khushiye k pal vartmaan se compare krti hai….!!!


Bhulana chahta hun tujhe……Rona nahi chahta aur mai ab...!!!
Dooor chale jaane bol de apnni yaado ko….!!!
Door jaa paas na aa tu ab…..ab aur na sata mujhe.!!!

Tuesday 15 April 2014

Kyu bhulu unki yaadon ko....

Yaadon se milkar puchh liya Humne.....
Bhul kyu nahi jate tum unki kasme....
Sapne, baaten aur band kro fariyaden....
bhul Gaye humko waqt na jaya kro unme..

Saturday 22 March 2014

Jindagi Sheep ki......Life of Sheep.....!!!

Motiyan Sheep me rahti hain.....
Samandar ki Laharen sahti hain....

Dubkiyan sindhu me gotakhor lagata hai...
Motiyon ko Sheep se kheench kar door kahin le jata hai...

Fir bhi....Motiya Sheep me rahti hain.....
baar baar.....Samandar ki Laharen sahti hain....

Vahi khaare paani me jeena; moti ke bin rahna..
Samandar me ye sab Sheep ko kahan bhata hai.....!!!


Motiya Sheep me rahti hain.....
Samandar ki Laharen sahti hain....

Thursday 6 March 2014

bahot pyaari hai......etni jitna Mai nahi sayad....

bahot pyaari hai vo aur unki baaten bhi bahot pyaari hai,
bahot pyaari hai unki sacchae aur har baat unki pyaari hai...!!


Ulat pulat hue es duniya mai,
vo hi sirf bachi ek raaj dulari hai.....
bahot pyari hai unki adayen aur;
har ek baat bhi unki pyaari hai....!!!


swatantra vichar bhaari hain unke sab par,
unka emaan bhaari hai samman bhaari hai.!!

bahot pyaari hai unki muskurahat;
aur specs me to aur bhi pyaari hai,
thode se vo til aur unki vo chin bhi pyaari hai ;
unki to har ek new hair style sab pe bhaari hai.....!!!


bahot pyaari hai......etni jitna Mai nahi sayad......!!

Monday 3 March 2014

"Balatkari ke tukde honge Hazar..."

Rooh kaanp jaati hai, unki sahamti tak nahi,
kar dete hai ab vo manmarji hamari sulagti kyu nahi....??


Vo do char hum beshak hai hazaar,
samay nahi badla to hoga ulta palatwar,
samaj bachana hai to aao; lad bhiden,
kar den un balatkario ke tukde hazaar.....!!!


sab ki dulari ghar ki shan;
bachpan se ab tak kahlati thi ghar ka maan.....!!


kabhi rahi bojh to kabhi ghar ka paani,
kam hi suni thi usne daadi maa se kahani,


aaj taar taar hue vo nanhi si jaan;
haivaniyat me aa pahucha har ek insaan....!!


rooh gae thi kaamp meri;
sacchae lagi thi jab aankh meri,
khuda to khoobsurat se insaan banata hai,
na jaane ye rakshash usme kaha se bhar jata hai.....!!


hum kar rahe hai baat badhte balatkar ghatnao ki,
Ijjat luti hue un maa behano aur  vidhavaaon ki,
laaj ki baat to chhodo; kalank kahunga maai unhe,
manavta ka abhishaap ya nark kahunga mai unhe....!!!



badlaav ki jarurat hai; sakhta kaanunon ki najakat hai;
aaj hum sabhi ko khud bhi sudhrne ki jarurat hai;
aaj to maano ankhen hi bhar ayegi,
nahi to aisa waqkt door nahi jab manvata pachhtayegi...!!!



Rooh kaanp jaati hai, unki sahamti tak nahi,
kar dete hai ab vo manmarji hamari sulagti kyu nahi....??


Saturday 1 March 2014

Jinda kise kahun...........Murda kise kahun.......!!! (a poem)

Jinda kise kahun...........Murda kise kahun.......!!! 
Leaving me again,
alone..........today;

Jindagi ne hi rukh jab mod liya to usko bevafa kyu kahu,

Jindadili bhi janaje me simat gae to jinda kise kahu.....!!!


Har waqt diya sath Jisne usko beraham kaise kahu,

Nadiyan hi jab dhaar mod gae;
To patwaar ki dhaar ko kyu bura kahu...!!!


Toofan aya tha samundar me jab; laharen saham gae,

aana nahi thi chahti unki bhi rooh katar gae,
Bekasoor sabd hi aisa hai jo beraham ko bhi hila de,
Sach mano usi waqt naav se samundar ki lahar simat gae...!!!


Jinda usko kahun ya Jinda hume kahu,

har raah me takdeer jo palti; parde me kyu rahu,
door hokar bhi paas hai ab to vo mere aye mere sathiyon,
mar gaya mai uske liye par sochta hu murda use kahu....!!!


Jinda kise kahun...........Murda kise kahun.......!!! 


Monday 24 February 2014

Unrecognized Girl.......Beintahan Pyaar......!!!

Samjha nahi vo us ladki ke dard ko,
Pyaar ko kahta khudgarz vo,
Koe batlaaye ye bhi nahi vo chahti,
aaj vo Gumshuda hi rahna chahti.....!!!


Jariya ho ya to Facebook, ya hon uski tasveeren,
Bhula pana mushqkil nahi, na hi hai koe Janjeeren,
Fir bhi vo gumshuda pyaar hai jeena chahti,
aaj vo gumshuda hi rahna chahti.....!!!


Yaaden kya hai,
vo beete haseen pal ya unki shararaten,
pyaar ho unka ya hon unki aahaten,
Bhulana kyu nahi chahti vo ladki,
Aakhir baaten kya hai......!!!



Vo unrecognized girl,
aisa lagta maano pearl ka unfurl,
fir bhi sunaae deta mujhe girl ka skirl,
Khud par julm karti vo unrecognized girl....!!!


Unrecognized girl.......Unrecognized girl.......!!!

Sunday 23 February 2014

Dhoop ki jhappi achhi lagti hai nah..??

Doop achhi lagti hai nah,
jab lagti hai  chehre par,
Subah uthkar dekho jab suraj ko,
Sab pyaara sa lagta hai na....??


Bachpan se ab tak....
usi tarah ki ye suraaj ki kirne,
Bore nahi karti kabhi bhi humko,
Chehre me padti hai to achhi lagti hai na....??


Aankho ko band karke,
Mahsoos kiyahai hum sabne,
kitni bhi sakhta kyu na ho,
Roshni achhi lagi hai na....??



Har ek mausam rahta hai dhoop ka intzaar,
Shaam me bhi laal laal vo sooraj ka pyaar,
doobta hua keval sooraj hi achha lagta hai,
Indradhanush me vo kirne achhi lagti hai na....??


Matlabi es duniya me,
Anjani rahon me aur..
jaani pehchani bahon me,
Sukun bhari jhappi achhi lagti hai na??



Dhoop ki jhappi achhi lagti hai na..??

Saturday 22 February 2014

Dekha Hai Humne...........a poem of Broken Love.....!!!

Rangon ko Rang badalte dekha hai,
Sapno ko haqkikat me badalte dekha hai....

Tootate dekha hai sapno ko jalte dekha hai,
Unko Khud me khote; aur fir Khud door jaate dekha hai,


Raaton ko din;
aur Sooraj ko chaand me badalte dekha hai....!!!


Man ki hote 
aur man hi man khud ko marte dekha hai....!!!


Unhe Savarte dekha hai,
Mujhme Unko khote dekha hai,
Dekha hai pyaar me rote unko,
Unko haste huye bhi dekha hai....!!!


Sangharshon ke Yug me,
Pattaron par tashvir banate dekha hai,
Dekha hai paani ka Rang,
aur Hawaon ko bahte dekha hai....!!!


Apno ko begane hote dekha hai,
Man ki dukano ko dekha hai,
Dekh liya humne bahot kuchh,
Aur bahot kuchh seekha hai,
Moral life ka lete lete;
Khud me khud ko tootate dekha hai.....!!!

Sannata......a poem of Deep Silence....

Boondon ki Awaaz aur vo Sannata,
Chalta rahon me mera man Pyaasa,

Door ek Car najar aae,
Haay fir vahi tanhae; aur judaai yaad aae,



Har kadam me aahat aur mai Bekarar,
Ruk jaaun mai aur karun uska Intzaar,
Tip-Tip ki Awaazen, vo sarsarahaten aur vahi Sannaten,
Car paas aae to kuchh nazar sa tha aaya,
Hata tab vo Sannata; Toofan sa tha aaya......!!!


Vahi Reshmi Baal aur Specs me vo,
Drive kar rahi thi Car vo ek Bravo,
Socha tha Dekhkar vo ruk jayegi,
Kambakhta es baar to Ashiqk ko pehchan jayegi...!!!



Gujar gae bina dekhe; Wapas vahi Sannata,
mano ab yahi to hai har Ashiqk ko bhata,
Fir vahi Boondon ki Awaaz aur vo Sannata,
Chalta Rahon me mera ye Man Pyaasa....!!!

Thursday 13 February 2014

vo kya jaane.....Mushqkil kya kab hoti hai....!!! (Part-2)

Vo kya Jaane Musqkil....Kya kab hoti hai humko,

yaad kiya hai har ek pal hamne hardam sirf unko,

pariyon chand sitaron, sagar ki majhdharon ki vo baaten,

baaten antarang hon ya pyaar ki fariyaaden,

jakhm na banegi ye kabhi hon ye man ki baten,

sagar me jitna paani vaisi pyaar ki baaten,

vo sab kya tha soch soch kar khush bhi ho jata hun,

na jaane ye mushqkil kahun to mushqkil me pad jata hun,

aakhon se need maano ojhal si hoti hai,

vo kya jaane mushqkil kya kab hoti hai.....Mushqkil kya kab hoti hai...!!!





likhta chalun mai yun ab akela, qkki mushqkil ab kaha humko hoti hai,

chhutne me ya unko chhod paane me, kahne me apni baat sunnane me,

waqt jo beet gya vo batlaane me mushqkil ab kab kaha hoti hai,

chhod jaane me ya jhhuthlaane me....mushqkil unhe nahi hoti hume bhulane me,

hume apanane me gairon ko gale lagane me mushqkil kab kaha hoti hai,

hoti hai mushqkil hasne me aur hasaane me, gam seene me tumhe bhulanae me,

swapn mitane me, jagne me sone me rone me khone me mushqkil kab hoti hai,

padhne me likhne me khane me peene me mushqkil hoti hai jeene me,

par vo kya jaane Mushqkil kya hoti hai.....par Mushqkil mushqkil hi hoti hai......!!!





Mushqkil mushqkil hi hoti hai......!!!


काश दीवारें बोलतीं !

 काश दीवारें बोलतीं ! मेरे ऑफिस के बगल वाले रेस्टोरेंट की दीवारें मेरे ऑफिस का पूरा गपशप जानतीं और थोड़ा लालच देने पर शायद ऑफिस की चुगलियां क...