Saturday 27 September 2014

Pehli Date.....Pehle Crush.....Infatuation...!!!

Kabhi kisi se ki hai mohabbat,
ya koe aya hai pasand....kisi pe crush aya hai ya
kisi ki adaon ne aapka pura dhyaan kheench rakha hai....

log kehte hai infatuation hai...kuchh Crush kehte hai...
Koe to direct PYAAR hi bol deta hai na en sab ko...
mano unka pyaar mandir k bahar bat rha prasad hai...!!!

alag alag najarion ke beech.....school ke din yaad aa gaye...
Mishra uncle ka vo restaurant jo radha chauk ke side me hi hai...
hamare kasbe ki sabse badi mithae ki dukaan...
vaha ka Samosa Jalebi kehte hai TOD hai yaar....lajawab...!!!

jalebi ki khushbu aur kabhi kabhi vo kachaudion ki mahak,
jab bhi school ke liye Cycle se jata tha na,
bhale hi late ho rha hun,
aur padal cycle ke tej tej marne ki bahot sakht jarurat aan padi ho,
us khushbu ke aage pair bhi maano haar maan jate the....gati dheemi ho jati thi...
pairon ka naak se ya jeebh se bhi koe na koe connection hai....ye bhi kae baar socha...
Par uttar na mila kabhi....kuchh smiles aur thahakon ke alava en vicharon me....!!!


class me Jis ladki se copy maagne me pure 9 months lag gaye;
halanki jaisa pehle hi keh diya vo infatuation tha ya crush ya ki liking....mujhe nae pata...
par usko julfen savarte jab bhi dekha....
class 10th ka baccha karan joher ki movies se kuchh to prerit hota,
mano aisi bollywood ki pictures bahot help karti hai na....pyaar jagane karne aur nibhane me,
par yaha to bahot saari dikkaten thi....chhota sa kasba,,,
Jaha bhale hi log Sunday shaam ko aane wali picture me Salmaan khaan ko uska pyaar mil jaaye ki duaayen dete hai, badh chadh kar samarthan krte hai raveena ki adaon ka..Govinda ke ijhare ishq ka...
Par jab asali jindagi ki baate hoti hai to,
maano saap sunh jata hai....
pyaar Paap ka paryaaywachi hai...
bade rahees logo ke liye bana hai...aisa bhi to unhi mahanubhavo ne bataya tha mujhe bhi...

par ye dil jo karan joher ki movies se aur Shahrukh ki adakari se jyada prabhavit tha,
halanki sabhi maryadaon ko rakhkar samajik prachlano ko bhi dekha samjh tha...
par vahi dil thaam nahi paya khud ko...kisi ke baare me sochne se...harpal....sayad han...!!!

to jab 9 months baad science ki copy mili to,
uspar koe love letter chhupa kar bhejne ki jurrat to hue nahi,
par baat karne aur agali baar hindi ki copy magne me koe jhijhak na hue,
un copies ko seene se lagakar soya mai aisi bhi koe harkat nae hue thi yaar,
sach kahu to kholkar dekha bhi nahi vo copies......bas silsila chalu hua tha.....baaton ka...!!

kehte hai convent school ki ladkiyan skirt pehen kar ati hai school,
halanki sarkari vidyalay me aisa kuchh na tha....par jo tha...vo thi adayen...muskan...lehzaa...
jo aakarshit karta gya....unki or.....mahine dar mahne...thoda aur....ufaan ki tarah....
par ye ufaan dono taraf ki sirf muskaan tak hi seemit tha.....
aur kabhi kabhi cycle stand me ki jaane wali dher saari baaton tak bhi...sach kahu to...!!!



**Rest will be written in next sitting.

P.S.> Above writing is solely fiction. Kindly don't think that its writers story.


Regards,
AWANISH 

No comments:

Post a Comment

काश दीवारें बोलतीं !

 काश दीवारें बोलतीं ! मेरे ऑफिस के बगल वाले रेस्टोरेंट की दीवारें मेरे ऑफिस का पूरा गपशप जानतीं और थोड़ा लालच देने पर शायद ऑफिस की चुगलियां क...