Monday 18 August 2014

New Cycle.....Khushi Pal bhar ki.....Second thought. :p :p :p Childhood Memories.....!!!

Kitna Saral aur Sugamya tha vo bachpan,
Jab paidal milo door school chalkar jana aasan sa lagta tha...

Aur bhi aasan to tab lagne laga...
jab vo kuchh meel ki duri tay karane ke liye Bicycle paae...

Laae gae aur Paae me antar hota hai...
hanjee sae padha aapne...
vo jamana tha jab achhe number se pass hone par...
Ya aathavi pass karne par cycle milti thi....inaam me...papaji se!!!

Cycle jab mili; kuchh hafton laga pairo me pankh se lag gaye ho,
udata tha mai, khud ko bhi aur cycle ke pahiyon se khud ke armaan ko bhi....
aas pass ke gaanv ke khet khalihaal.....mandir masjid....sab ke chakkar kat daale...

din raat keval ek dhun.....cycle cycle....aur sirf cycle....!!!


Halanki Ranger Cycle...vo bhi Avon Brannd ki....
rutba bhi badhaya hi tha esne doston ki un mehfilon me....
jo kabhi aamchur ki ya to kabhi kulfi ya fir fulki ke thelon par lagte the....!!!

Hamesha chamchamane wali cycle...
suruaat ke dino me to bechari ko mujhse jyada nahana pada...
mai nahaun ya nahi......usko surf ya for Shampoo se nahalata tha...
qki vo bhi to jati thi door kis balcony k samne se gujarne....
jaha ek ladki aksar apne baal sukhane ati thi subah school jane se pehle.....!!!


logon ka aakarshan thi....gears jo the meri cycle me..
aur vo trin trin ki awaz wali ghanti....jo anya sabhi cycle se puri tarah alag......Pyaari.....!!!

----------

Par......kuchh tha jo bahot hi anokha sa tha.....par achanak chhut gya tha.....
jiska ahsaas hua aaj; aaj jab kuchh nanhe bachho ko vahi krte dekha jo bachpan me hum kiya krte the....


cycle ne kuchh chheen liya tha na mujhse......bahot hi pyaari ek aadat.....
cycle aa jana aur us aadat ka chhut jana mano ek peeda ho gae....vo aadat thi hi kuchh anokhi si....!!!
jab tak cycle nae aae thi,
aur paidal paidal hum school jaya krte the.....


paidal chalte waqt.....Pattharon ko pairon se marna...
aur marte huye hi chalna....!!!
aur kabhi kabhi to ye than lena ki;
ye chikna wala....nahi nahi vo gol gol wala ya to kabhi achha vo laal wala patthar....
ye to ghar tak jayega....!!!

Ye sab kaphi anokha tab nahi tha...
Shoes par kharonch dekhkar maa thoda chillati jaroor thi.....
par agale hi pal....
jab peechhe se jakar.....maa ko gale laga lo to Dulaar bhi to milta tha na....!!!

Vo dulaar un sab khushiyon se badhkar tha jo cycle chalakar mili....!!!


------

Par kuchh aur baate bhi hai jo Cycle chalane ki yaaden kabhi nahi bhulane dengi,
samhaal kar....dheere dheere chalana.....!!!
Big vehicles jab aaspas rahen to samhaal kar road se neeche utaar lena....
Jab bhi road cross krna to...dono tarah dekhna...
aur sab se favourite wala dialogue-
 speed ke chakkar me hath pair mat tudva ke baith jana.....exams pass me hai na....!!!

mano ye gyaan ke sabd to Roj hi maa sunati thi....
tab ye daant lagti thi...par aaj unhi seekh ke balboote hum bahot kuchh seekhe hai....

han to un daaton ke beech.....
papa ya ghar ka koe bujurg bolta jaroor tha...ki,
karne do ladakpan me....yahi to seekhne ki umar hai,...!!



Aaj yaad aa jate hai vo din.....vo lamhe....
kuchh ankahi baaten jo muskaan me badal jaati hai...
ya to geela kar jaati hai ankhon ko....
ya kuchh pal hame hasati hai....!!!


CYCLE ke vo tej tej paidal......Aur mera Pyaar.....Kabhi cycle ke liye to kabhi Paidal chalne ke liye......!!!



Regards-
Awanish Shukla
Student, PGP-ACM,
NICMAR-Pune.

काश दीवारें बोलतीं !

 काश दीवारें बोलतीं ! मेरे ऑफिस के बगल वाले रेस्टोरेंट की दीवारें मेरे ऑफिस का पूरा गपशप जानतीं और थोड़ा लालच देने पर शायद ऑफिस की चुगलियां क...