Hum nahi badle......; es par Guroor.....???
Jamana badal gya hai aisa log kahte hai.....baat Karen rajneeti ki to har kisi ka alag hi najariya h...aur ho bhi q na....hum to vishva k sabse bade loktanta k nivasi hai. Vo jamana bhi lad gya jab log mohtaaz the do waqt ki roti k....kapda aur makan bhi sath hi sath gin liye jaate the moolbhoot avashyaktaon me. Kahte hai un Dino log beesiyon meel tak paidal aaya jaya karte the.....bhale hi ghar me kilo bhar sona aur saikdon beegha jameen ho...tab bhi khat jab daakiya lekar aata tha na; tab dhudhna padta tha us 8vi pass ladke ko Jo door kisi daftar me bade ohade par kaam krta tha. Radio par cricket ka prasaran sunne k liye poora gaanv sarpanch k ghar yun jata tha maano panchayat me aaj bheekhu chamar k liye sunvaae ka din hai. Sadak k gaddho ki log aaj baat karte hai; tab to pagdanddiyon me saaykal chala karti thi......maa chulhe me roti banati thi aur uppalo k jalne wala dhuaan maa ki aankho ko gila kar deta tha....!!! Ghar ka vo aangan jaha roj poora parivar shaam ko milta tha aur badon ki kam daant aur bahot dulaar ka sakshi banta tha vo tulsi ka paudha jis par maa k sath hum sabhi milkar deep jalate the....!!!
Wivi se pahli mulakat aur baat seedhe suhagraat me hi hoti thi; saam hoti thi suhani, shadi ki baarat hafte bhar ruka karti thi....log mehmaan ko bhagwaan kaha krte the.....gaay mata k gobar se ghar ka vo leepna....barsaat me khhapdon se bani chhato ka sthan bhale hi pakki chhato ne le liya ho par vo ris ris kar tapakne wali boondo ka bhi alag maza tha jisko sametne k liye kahi balti to kahi tasla bartan rakha jata tha. Nani ki kahaniyan to log sadiyon tak sunenge par tab bade papa, Badi maa jaise riste bhi hua krte the. Nana k yaha se garmi me lene jab mama ji aate the....tab samjhta tha ki chhuttiya chalu ho gae hai....!! Aam k ped ko bhari dupahri me takna.....aur fir kaitha aur emli k ghatte swad Ko namak laga laga Kar kam Karna.......paseri ki vo dukan; dadaji ke swarg sidharne par lagne wala hazaron logon ka tanta.....vo bheed jisme sab gamgeen the; mano seekh de gae ki duniya me aate waqt tum bhale hi ro rahe the.....jab jaao to es kadar ki duniya ki aankhe nam ho...geeli ho....!!
Waqkt ne karwat badli; bade bade irade panapne lage the karobariyon ke hausalon me; kahte hai Bharat me kuchh badlaav sa aya tha.....aarthik aajadi aur Vikash ka Rath Mano an Bharat aya tha....!!! Telephone fir mobile, television fir led, 3d TV, maruti 800 se lekar mercedese Benz tak......khadaun se puma/adidash tak, litti chokha se lekar pizza burger tak, sarangi se guitar tak aur bhi na jaane kya kuchh aur kya kuchh nahi.....daur badalte Gaye hai aur sach kahu to yun hi badalte rahenge....!!! Par hum insaan kyu nahi.....!!!
Han han.....sae padha aapne.....!!! Hum insaan kyu nahi.......???? Kyu nahi....!!!
Humari pahle bhi padoshi se anban thi aur aaj bhi hai; padoshi mulk ka ho ya apne ghar k bagal ka waqt k sath sambandh pragadh nahi varan bekar hi huye h. Insaan ne missiles bana li hai, paryavaran ki pahle bhi hani pahuchate the aah ki tarah, asatya ko badhava Dena, sach ki chhupan pahle bhi ata tha aur aaj bhi.....!!! Ye mere scope k bahar hai jaise excuses.....bla bla bla....!!!
Hum nahi sudhrenge agar yun hi attitude raha to sach maano humne jise apni virasat k roop me bachaana chaha h uska Bach pana mushqkil me ho jayega......hamari sankiti - hamari virashat.....hamari Riyasat.....!!!
Es par bhi agar guroor hai na badalne ka..,...to hum kya kahe babu.....!!! Aap khud hi samajhdaar hai.....!!!
No comments:
Post a Comment