Monday, 24 February 2014

Unrecognized Girl.......Beintahan Pyaar......!!!

Samjha nahi vo us ladki ke dard ko,
Pyaar ko kahta khudgarz vo,
Koe batlaaye ye bhi nahi vo chahti,
aaj vo Gumshuda hi rahna chahti.....!!!


Jariya ho ya to Facebook, ya hon uski tasveeren,
Bhula pana mushqkil nahi, na hi hai koe Janjeeren,
Fir bhi vo gumshuda pyaar hai jeena chahti,
aaj vo gumshuda hi rahna chahti.....!!!


Yaaden kya hai,
vo beete haseen pal ya unki shararaten,
pyaar ho unka ya hon unki aahaten,
Bhulana kyu nahi chahti vo ladki,
Aakhir baaten kya hai......!!!



Vo unrecognized girl,
aisa lagta maano pearl ka unfurl,
fir bhi sunaae deta mujhe girl ka skirl,
Khud par julm karti vo unrecognized girl....!!!


Unrecognized girl.......Unrecognized girl.......!!!

Sunday, 23 February 2014

Dhoop ki jhappi achhi lagti hai nah..??

Doop achhi lagti hai nah,
jab lagti hai  chehre par,
Subah uthkar dekho jab suraj ko,
Sab pyaara sa lagta hai na....??


Bachpan se ab tak....
usi tarah ki ye suraaj ki kirne,
Bore nahi karti kabhi bhi humko,
Chehre me padti hai to achhi lagti hai na....??


Aankho ko band karke,
Mahsoos kiyahai hum sabne,
kitni bhi sakhta kyu na ho,
Roshni achhi lagi hai na....??



Har ek mausam rahta hai dhoop ka intzaar,
Shaam me bhi laal laal vo sooraj ka pyaar,
doobta hua keval sooraj hi achha lagta hai,
Indradhanush me vo kirne achhi lagti hai na....??


Matlabi es duniya me,
Anjani rahon me aur..
jaani pehchani bahon me,
Sukun bhari jhappi achhi lagti hai na??



Dhoop ki jhappi achhi lagti hai na..??

Saturday, 22 February 2014

Dekha Hai Humne...........a poem of Broken Love.....!!!

Rangon ko Rang badalte dekha hai,
Sapno ko haqkikat me badalte dekha hai....

Tootate dekha hai sapno ko jalte dekha hai,
Unko Khud me khote; aur fir Khud door jaate dekha hai,


Raaton ko din;
aur Sooraj ko chaand me badalte dekha hai....!!!


Man ki hote 
aur man hi man khud ko marte dekha hai....!!!


Unhe Savarte dekha hai,
Mujhme Unko khote dekha hai,
Dekha hai pyaar me rote unko,
Unko haste huye bhi dekha hai....!!!


Sangharshon ke Yug me,
Pattaron par tashvir banate dekha hai,
Dekha hai paani ka Rang,
aur Hawaon ko bahte dekha hai....!!!


Apno ko begane hote dekha hai,
Man ki dukano ko dekha hai,
Dekh liya humne bahot kuchh,
Aur bahot kuchh seekha hai,
Moral life ka lete lete;
Khud me khud ko tootate dekha hai.....!!!

Sannata......a poem of Deep Silence....

Boondon ki Awaaz aur vo Sannata,
Chalta rahon me mera man Pyaasa,

Door ek Car najar aae,
Haay fir vahi tanhae; aur judaai yaad aae,



Har kadam me aahat aur mai Bekarar,
Ruk jaaun mai aur karun uska Intzaar,
Tip-Tip ki Awaazen, vo sarsarahaten aur vahi Sannaten,
Car paas aae to kuchh nazar sa tha aaya,
Hata tab vo Sannata; Toofan sa tha aaya......!!!


Vahi Reshmi Baal aur Specs me vo,
Drive kar rahi thi Car vo ek Bravo,
Socha tha Dekhkar vo ruk jayegi,
Kambakhta es baar to Ashiqk ko pehchan jayegi...!!!



Gujar gae bina dekhe; Wapas vahi Sannata,
mano ab yahi to hai har Ashiqk ko bhata,
Fir vahi Boondon ki Awaaz aur vo Sannata,
Chalta Rahon me mera ye Man Pyaasa....!!!

Thursday, 13 February 2014

vo kya jaane.....Mushqkil kya kab hoti hai....!!! (Part-2)

Vo kya Jaane Musqkil....Kya kab hoti hai humko,

yaad kiya hai har ek pal hamne hardam sirf unko,

pariyon chand sitaron, sagar ki majhdharon ki vo baaten,

baaten antarang hon ya pyaar ki fariyaaden,

jakhm na banegi ye kabhi hon ye man ki baten,

sagar me jitna paani vaisi pyaar ki baaten,

vo sab kya tha soch soch kar khush bhi ho jata hun,

na jaane ye mushqkil kahun to mushqkil me pad jata hun,

aakhon se need maano ojhal si hoti hai,

vo kya jaane mushqkil kya kab hoti hai.....Mushqkil kya kab hoti hai...!!!





likhta chalun mai yun ab akela, qkki mushqkil ab kaha humko hoti hai,

chhutne me ya unko chhod paane me, kahne me apni baat sunnane me,

waqt jo beet gya vo batlaane me mushqkil ab kab kaha hoti hai,

chhod jaane me ya jhhuthlaane me....mushqkil unhe nahi hoti hume bhulane me,

hume apanane me gairon ko gale lagane me mushqkil kab kaha hoti hai,

hoti hai mushqkil hasne me aur hasaane me, gam seene me tumhe bhulanae me,

swapn mitane me, jagne me sone me rone me khone me mushqkil kab hoti hai,

padhne me likhne me khane me peene me mushqkil hoti hai jeene me,

par vo kya jaane Mushqkil kya hoti hai.....par Mushqkil mushqkil hi hoti hai......!!!





Mushqkil mushqkil hi hoti hai......!!!


Wednesday, 12 February 2014

Vo kya jaane.......mushqkil kya kab hoti hai....!!! (Part-1)

Bebak mushafir duniya me firta hai; 
gam ke ghavon ko rah rah kar silta hai,

vo kya jaane mushqki kya hoti hai; 
jab vo ghavon ko see see kar chalta hai,

Ishq ke rehmano me,
apno me raho ya begano me,

jo chhut gya aur tha pyaara,
rahta jaan deewanon me,

afsanon me khoya ho;
ya pada ho sust maikhano me,

Vo kya jaane.......mushqkil kya kab hoti hai....




Na khabar li unhone,
qki VO kya jaane mushqkil kya hoti hai;

Mushkil kya hoti hai,
Jeene me ya Jee paane me;

rah paane me,
unke bin waqt bitane me....Mushqkil kya hoti hai,


Unhe muft me mili na keemat gae chukae;
raton ko jag jag kar humne sahi tanhae.....
Mushqkil kya hoti h vo kya jaane;


unke bin rahne me....
dard judae ka sahne me Mushqkil kya hoti hai;


unme khone me,
ya unme kho jaane me,
ab Mushqkil kya hoti hai;

Atif ke gaane sahne me,
rote rhne me Mushqkil kya hoti hai;


Vo kya jaane.......mushqkil kya kab hoti hai....!!!


(to be continued in Part-2....)

कार एक्सीडेंट….

 पीछे से आती मारुती बलेनो कार ने जोर की टक्कर मारी। #RealLifeStories शहरों में सिग्नल पर इंतज़ार करती गाड़ियां बंपर से बंपर के बीच कोई फांसल...