Hame path pradarshak mile aap jab se,
Nae sadhna ki dagar mil gae hai,
Tadapte rahe dhyeya path ke bina hum,
Na jana kabhi kya desh kya dharm hai,
Na jana kabhi paa manuj tan jagat me,
Hamare liye shreshtam karma kya hai,
Magar gyan jab se diya aapne hai,
Nirantar pragati ki dagar mil gae hai...!!!
Samaya hua ghor tam tha mere me,
Supath nahi tab dikhaya gaya tha,
Sabhi supta the ghor tam me akele,
Hriday aapka he tapi jal rha tha,
Jalakar Swayam ko, kiya maarg jagmag,
Hame prerna ki dagar mil gae hai....!!!
Hame path pradarshak mile aap jab se,
Nae sadhna ki dagar mil gae hai....!!!
Meanings:- Tam=Andhkaar, Hriday=Heart, path pradarshak= Teacher/guide, Dagar=path/rasta,